Boiler exam questions and answers in hindi-बॉयलर परीक्षा प्रश्न और उत्तर

Boiler exam questions and answers in hindi-बॉयलर परीक्षा प्रश्न और उत्तर


Boiler exam questions and answers in hindi

1.Boiler pe Emergency problems kya hosakte hai?

A.1.Boiler tubes leakage hosakte hai.

2.Boiler feed water control station fail hosak tha hai.

3.Furnace me Drafts Unbalance hosakte hai.

4.Furnace Explosion(yani) blast  hosaktha hai.

5.Blow Down Valve Fail hosaktha hai.

6.Feed Water pump Fail hosakta hai.


2. Boiler Tubes Fail hone me kya karan hosak the hai ?

A.1.Boiler tubes Over heating ke karan bhi leak hosakte hai.

2.Tubes ke ander me scaling ke karan bhi tubes me heating proper nahi hogi is se  over heating honese bhi tubes fail hosakthi hai.

3.Tubes purana honeper bhi fail hosakti hai.

4. Tubes ka size phail ne ki wajase bhi tubes fail hosakthi hai.

5. Flue gas Aur Ash ke erosion se bhi tube fail hosakthi hai.

6.Tubes ka material sahi nahi hai thobi tube fail hosakthi hai.

7. Tubes ke ander ya bahar corrosion hoga thothi tube fail hosak this hai.

8. Tubes me improper ya effected steam and water circulation sahi se nahi hoga thobi tube fail hosak tha hai.


3.Boiler tube leakage hone per kya karoge?

A.1.Jithna jaldi hosake Boiler ko stop karna hai.

2.Boiler ko cooling ke liye chodna hai.Aur feed water ko circulate karthe huye.

3. Boiler ko  jaldi se cooling karneke liye ID, FD fans ko on me rakhe isse Boiler jaldi se cool hojayega.

4.Tube jaha leakage hai uske nichetak water ko drain kare.

5.Tube jaha leakage hai uska root find karna hai.

6.Agar tube leakage minor hai tho welding procedure follow karsakthe hai.

7.Agar tube leakage major hai tho tube ko replace karna padega replace karne ke bad 2 hour 2 gante ke liye cooling ke liye chodna hoga.

8.Boiler tube change Marne ke bad cooling ke bad Boiler ke andar water ko fill karke hydraulic test karna hoga.

9.Boiler maximum working pressure per 1.5 times jithna pressure aye ga waha tak.

10.Hydraulic test me dekhna hai jaha humne tube replace kiya tha waha leak ho raha hai.Nahi horaha hai tho water ko Drain karle normal water level tak.

11.Uske Bad Boiler ko start karle boiler  ke start up procedure ke mothabikh.

4.Boiler ke Drum level me fluctuation hone ka kya karan hosak tha hai?

A.1.Sudden loading aur unloading hone ke karan bhi Boiler me fluctuation hosak tha hai.

2.Steam pressure fluctuate karraha hai tho bhi fluctuation hoga.

3.Safety valve sudden pop up karraha hai tho bhi Drum level fluctuate karega.
4.Priming aur foaming horaha hai thobhi drum level fluctuate karega.
5.Drum level controller agar fail hojatha hai tho use condition Me bhi drum level fluctuate hosaktha hai.

6.Blow down valve leakage ya passing hai thobi fluctuate hosak tha hai is se  drum water level bhi  maintain nahi hoga.

7.Uncontrolled firing kar rahe hai tho use condition me bhi drum level fluctuate karega.
8.Tube ya coil leakage hone se bhi drum level maintain nahi karpayenge aur water consumption bhi bad jaye ga.

5.Boiler furnace drafts fluctuation hone ke kya karan hosakte hai?
A.1.Unbalanced draft ke karan bhi furnace me fluctuation hosaktha hai.
2.Fuel me moisture variation ki wajase  bhi hosaktha hai.
3.Sudden load change hone ki waja se bhi hosakta hai.

4.ID.,FD fans fail hone ki waja se bhi furnace draft me fluctuation hosak tha hai. 
5.Flue gas path chock yani APH chock hone ki waja se bhi furnace me fluctuation hoga.
6.Air aur flue gas leakages hone se bhi furnace me fluctuation hotha hai.
7.Loo's ya improper fans jaint sections sahi se fitted nahi hai tho bhi furnace ke Drafts me fluctuation hoga.

Please Select Embedded Mode To Show The Comment System.*

Previous Post Next Post