boiler questions and answers in hindi

boiler questions and answers in hindi


 Boiler questions and answers in hindi

बायलर सेकंड क्लास और फर्स्ट क्लास कम्पेटेन्सी ऑपरेटर बनने के लिए एग्जाम में पूछे जाने वाले कुछ इम्पोर्टेन्ट क्वेश्चन और अंसवेरस हम इस आर्टिकल में देरहे है आप को अगर ये क़ुएस्तिओन्स और अंसवेरस अच्छे से याद रखलेते है थो आप बायलर कम्पेटेन्सी ऑपरेटर एग्जाम में पास आउट होजाएंगे।

Boiler second class aur first class Boiler competency operator banne ke liye exam me puche jane wale kuch important question aur answers hum is article me derahe hai aap ko aap agar ye questions aur answers achche se yaad rakhlete hai tho aap boiler competency operator exam interview me pass out hojayenge.


Boiler questions and answers in hindi

1. Thermocouple ka use Boiler pe kisko map neke liye istemal kiya hatha hai?

A. Thermocouple ka use temperature ko maap neke liye kiya jatha hai.


2. Boiler pe drafts kithne prakar ke hothe hai ?

A. Boiler pe draft 2 prakar ke hothe hai (1) Mechanical draft (2) Natural draft Mechanical drafts  3 prakar ke hothe hai

(1) Forced draft

(2) Induced draft 

(3) Balancing draft 


3.  Boiler pe pani mese oxygen ko remove karne ke liye konse chemical ka use kiya jatha hai ?

A.Boiler pe pani mese oxygen ko remove karne ke liye Hydrazine aur Sodium Sulphate  ka use liya jatha hai.


4. Boiler ka steam pressure 10kg/cm2 hai tho feed water pump ka pressure kithna rakhenge ?

A. 1.5kg/cm2 yahi thead guna boiler ka steam working pressure 10kg/cm2 hai tho feed pump ka pressure 15kg /cm2 rakhenge.


5. Combustion gases tubes ke trough ander se passes horahe hai tho usse kon sa boiler kaha haye ga?

A. Fire tube Boiler kahe the hai.


6. APH aur HRU ki working me kya faraq hotha hai?

A. APH air pre heater fd fan ke dara jo hawa APH me garam kiya jatha hai boiler ke flue gases ki heat energy se.

HRU heat recovery unit HRU me feed water ko garam kiya jatha hai boiler ke flue gasses ki madath se.


7. Bourdon tube gauge kis ko measure karne ke liye use kiya jatha hai?

A. Steam pressure ko measure karne ke liye Bourdon tube gauge ka use kiya jatha hai.


8. Deaerator ka use Boiler pe kisko remove karne keliye use kiya jatha hai ?

A. Deaerator ka use Boiler feed water me se oxygen ko remove karne ke liye kiya hatha hai.


9. Husk Fuel ki calorific value kithni hothi hai ?

A. 3200 k cal/kg (example:- 1kg husk ko burn karenge tho 3200 kcal/kg heat produced hogi.


10. Boilers kithne prakar ke hothe hai?

A. Boilers 2 prakar ke hothe hai 1) fire tube boiler. 2) water tube boiler.

Boilers ko clasified kiya jatha hai high pressure aur low pressure se.


11. Boiler pe kis type ka safety valve ka use zada kiya jatha hai?

A. Boiler pe mechanical spring loaded safety valve ka use kiya jatha hai aur isko boiler ke bilkul uper lagaya jatha hai vertical position me.


12. Boiler pe feed check valve kis line me lagaya jatha hai.

A. Boiler pe feed check valve ko feed water pump ke discharge line me lagaya jatha hai ye bilkul steam drum ke pass laga huwa hotha hai.

 13. Boiler ki tubes ko uske konse size se mapa jatha hai?

A. OD aur Thickness [Outer diameter se aur Boiler tubes ki ore hothi hai uske Motayi se mapa jatha hai.]


14. Feed pump ka pressure kam hone ka karan kya hosak tha hai?

A. Zada thar pump ki section line me white type spinner hotha hai wo chock hojatha hai tho chocking pressure ko kam kardethi hai.Aisa na ho is liye hame time to time section line me jo spinner laga huwa hotha hai usse clean karthe rahna hai.


15. Boiler pe heavy ash kaha collect kiya jathi hai?

A. Boiler pe heavy ash ash chamber me collect ki jathi hai ye jo ash chamber hotha hai ye bilkul boiler ke bad hotha hai.Aur is me ekk arch bani hothi hai is arch se flue gasses takrathi hai aur jo heavy ash hothi hai ash chamber me gir jathi hai yaha se us ko bahar nikal liya Jatha.


16.Boiler pe mobrey ka kya kam hotha hai ?

A. Mobrey Boiler me water level ko control karne ka kam karthi hai jab drum me pani ka level high hojatha hai tho feed water pump ko cut out karwa thi hai  low hotha hai tho feed water pump ko start karthi hai, aur extra low pe agar pani ka level extra-low hojaye tho pure boiler ko trip karwa thi hai.Aur is me 3 coil lage huye hothe hai.


17. Agar feed check valve ka (NRV) fail hojaye tho kya hoga?

A. Feed check valve ka NRV fail hojaye tho jo boiler steam pressure hotha haib wo discharge line se hoke feed pump ko ulti disha me ghuma detha hai.is se feed water pump damage ho jatha hai.

18. Power plant me sabse Bada pump kise kaha jatha hai?
A. Power plant me sabse Bada pump bola jatha hai Boiler feed water pump ko.Aur is pump ko BFP ke nam se bhi jana jatha hai.

19. Feed water pump ka pressure steam pressure se zada kyu rakthe hai ?
A. Feed water pump ka pressure isliye zada rakthe hai thaki wo pani steam pressure ke uper zada dabow bana ke boiler drum me  fill hosake.

20. Boiler pe id aur fd fan me kis type ke Blower ka use kiya jatha hai?
A. Boiler pe id aur fd fan me centrifugal Blower ka use kiya jaya jatha hai.

21. Boiler me air flow ko kis mechanical part se control kiya jatha hai ?
A. Mechanical Damper ke se id aur fd fan ke duck me damper lage hothe hai jin ke se hum air flow ko control karte hai.

22. Ecnomizer  kis ki heat se feed water ko garam karta hai ?
A. Ecnomizer Boiler ke hot flue gases ki heat se feed water ko garam kartha hai.

1.Boiler ka blowdown valve fail hojane per kya karo ge ?

A.Feed water Jith na bhi lage hane drum drum level maintain karna hai.

check karna hai kithna pani blowdown valve mese passing horaha hai.

Agar pani kam loss horaha hai tho Acceptable hai tho boiler running me rakhe, shutdown clearance milnetak.

Agar Blowdown valve mese pani bahoth loss horaha hai acceptable nahi hai tho Boiler ko shut down kare Aur Blowdown valve ko change ya repair kare.


2.Boiler (Blast) explosion hone ka kya karan hosakta hai ?
A.Boiler ka pressure high positive hone ke karan bhi Boiler explosion hosakta hai.

Agar Boiler protection aur inter locks by pass kar ke chalarahe hai tho use condition me major folt bad jathe hai iske karan bhi boiler explosion hosakta hai.

scale aur corrosion agar pressure parts me hoga tho bhi boiler explosion hosakta hai.



3.Boiler ka flue gas outlet temperature (high) badne ka kya karan hosakta hai?

Ecnomizer aur (APH)clean kare.


Aur maintain kare flue gas temperature as per manufacturer guide yani Aap kis company ka Boiler hai wo jithna flue gas temperature maintain karne ki guide lines diya hai usi prakar hame maintain karna hai.


Boiler me Higher moisture content fuel ko burn karrahe hai use condition me bhi flue gas temperature bad tha hai is liye Boiler me limit moisture content wala coal ko burn karrahe hai  tho use condition me bhi flue gas temperature bad tha hai is liye boiler me limit moisture wale fuel ko burn karraha hai.

4.Boiler me fuel consumption high bad raha hai iska kya karan hosak tha hai?

Incomplete combustion horaha hai tho uss condition me bhi coal consumption bad jatha hai.


Furnace combustion Draft excess air aur fuel moisture maintain karna hai 3ts ke according 

HP aur LP heater se hame ecnomizer inlet feed water ko increase karna hai yani bada na hai.


Shoot heat transfer achche se nahi horaha hai tho hame shoot blowers ko regularly open karna hai.Aur rated pressure aur temperature ko operate karna hai.

5.Boiler me clinker formation hone ka kya karan hai?

Low moisture content coal ka uss karnese bi furnace me clinker formation hoga.


Air ka aur fuel ka mix sahi se nahi hoga tho bi clinker formation hoga.

Agar hum coal high ash fusion temperature ka use karrahe hai tho uss condition me bi clinker form hosak tha hai.


Sudden startup ya stop karrahe hai ya power cut horaha hai tho uss condion me bi clinker form hosakta hai.
Agar hum high temperature me boiler ko run karrahe hai uss se boiler ka bed temperature high coal feeding ke karan temperature bad ke clinker form hoga is liye hame boiler ka bed tempwrature 850 se 900 ke beech me maintain karna hai.

6.Boiler drum me corrosion rate ko kaise control karna hai?

Maintain boiler feed water ph desired range ke motha bik.


Boiler feed water me  oxygen %0.007 ppm tak raakh na hai oxygen scavenger chemical dosing karthe huye.


DM water storage tank properly sealed hona chahiye.


Condenser leak hai tho jald se jald find karke close karna hai.
*Boiler Operator Hindi Notes:-Here 

Boiler shut down me achche se clean karna hai water path aur steam path ko.




Please Select Embedded Mode To Show The Comment System.*

Previous Post Next Post