rawangi ke adaab in hindi - रवानगी के अदब तब्लीग़ी जमात

rawangi ke adab in hindi - रवानगी के अदब तब्लीग़ी जमात 



rawangi ke adab in hind


jamat ki rawangi ki baat in hindi

Nahmaduhu wanu salliala rasulin kareem .

 Azeem dosto jo hazraat door baite hai khareeb khareeb aaker baite kyunki rawangi ke Adab bathana hai Aap hazrat ke samne rakhna hai hai kyu ke abb hume yaha se dusre shahar ko jayenge phire Baraha ekk masjid se dusri masjid ko tho hame janahihai tho hame yaha se waha waha se yaha jana hi hai.

yejo hamara nakl harkat karna hai ye sahaba ki seerat hai ye ithna uncha kam hai ke sahaba makka ke ekk 1 lac namaz ke sawab ke namaz ko Aur madina ki 50000 hajaar namaz ki sawab ko aur huzoor sallallahu alaihi wasallam ki Emamath me bhi namaz padne ko choda aur allah ke raste me nikle is raste ke Beshumaar fazail hai ye sahaba wala kam hai.

Apna koi samaan jaise tazbee, miswaaq, kithab, kapda, saboon, wagaira.Agar hum masjid se jarahe hai tho Masjid me na rahene de.
Kabi kabar sathi apne chote kapde hothe hai masjid ke hummam ya taharath khane ke pass chod dethe hai Baaz log Apna miswak wazu khane me chod dete hai baaz log Saboon wagaira chod dete hai ye na kare , ye sari chizoko achchi tharaha check karle Aur apne pass rakhle  , saboon Agar apne bag me rakhe tho ekk cover me dal ke rakhe kyuki apne kapde kharab na ho.

Masjid ki kithab ya aur koi samaan ho koi cheez masjid ki Nale masjid ki cheez masjid me hi rakhe apne saath na lekejaye.

Aur masjid ko safayee ke ethebaar se masjid ko jos haal me paya tha uss hall me chode yani masjid me agar dhool wagaira hai tho saaf safayee kar de hum allah ke gar ko saaf karenge tho allah hanare dilo ko saaf karenge.

Usske baad apne samaan khud uttaye ye nakohi bhai mera samaan koi aur uttale tho bahtar hoga, ye nai bhai apna samaan khud uttaye Sahaba apna samaan khud uttathe the aur dusro ka samaan bhi uttaya karthe the  


rawangi ke adaab in hindi

Baaz sathi apne sathi ka samaan uttalethe hai lekin kahi Bus stop ya kahi chude dethe hai aur sathi ka samaan gayab hojatha hai Aisa na kare.
Agar samaan uttaye tho usko manzile maqsood tak hifazath se pahuchaye ye bahoth bada kaam hai.

Aur pure thawoon ka jo samaan hai sare sathi ye fiker kare ke hum sare thawoon ka samaan uttayenge ye uttayenge tho is ka bada sawab milega har sathi ki fiker ho thawoon ka samaan hum apne sath lenge.
Phir uske baad masjid se jab nikle pahele Baya pair masjid se bahar nikale phir ye dua pade 

*Bismillahi wassalathu wassalamu ala rasulullahi *(Allahhumma inni asaluka min fazlika wa rahmathik) ye dua pade phir daye pair me juta ya chappal pahene phir baye pair me pahenle.

 agar chalte chalte jana ho tho (2) do do sathi ki jodi banaker rasthe ke ekk kinare se chale (3)theen theen (4) char char ekk sath na chale (2)do do sathi ki jodi banake ekk sath kinare se chale basthi ke ander ziker karthe huye chale aur basthi ke bahar jab pahunche tho seekh the sikathe chale unchi awaaz me na bole har ekk sathi ki awaaz bilkul Aaista ho kisi aur ko sunahi nade aur jab basthi Aajaye tho sikh na sikhana bandh karde .

Aur agar sawarise safar karnaho bus ya railway station pahunche tho apna samaan ekk jaga per rakhe koi sathi samaan  uder raqrahe hai koi sathi eder rahk raha hai aisa na kare, Sare sathi yo ka samaan ekk jagaper rakhe thaki hifazath hosake aur sare sathi samaan ke pass hi khade rahe thaki hifazath achchi tarha hosake.

Kuch zaroorath pesh aye tho mashora karke 2 sathi Jaye yani safar karna hai kuch khane peene ki koi cheez Lena ho mashora Karle phir 2 sathi yo ko behje laneke liye, Aur koi Bagair izazat ke nahaye agar sawari Aajaye tho bus se jana ho ya train se janah ho ya Auto se , car se jana ho agar sawari Nahi  Aaritho (sure *lilafi quraish* )padle .

Insha Allah sawari jald aajaye gi iska bada thajruba hai padke dekhe agar sawari Aajaye tho bhi (sure lilafiquraish padle) Jab sawari me baite tho ye Dua pade (Allah humma saqqarlana haza wama kunna lahur muqrineen wainna ila rabhina lahum qaliboon.) 

3marthaba subhanallah 3 marthaba allhamdulilla 4marthaba allahu akbar kahe, 

Gadi me jathe waqth ziker karthe huye jaye agar hum ziker karthe huye jayenge tho hamari hifazat ke liye insha allah ekk farista mukharrar kar diya jatha hai.

Phir uske bad jaha janaho wo basti me dakhil ho tho allah rabbul izzat se ye Dua pade ***(Allahhumma razaqna banaha wahabbibna ela ahliha wahabbin saliheeAhliha elaina)****

Hab basti me dakhil ho hamari achchi niyyat ho bathil niyyath na ho jaisi hamari niyyat hogi waise hi asraat basti walo per padenge, yani basthi me Dakhil hotho ye niyyath ho ke insha Allah basthi me jake khoob mahnath karenge allah ke raste me logo ko nikalenge.


Ye Niyyat ho ke insha Allah hum Basthi me jake khoob mahnath karenge Allah ke rasthe me logo ko nikal neki fiker karenge logo ke deen ko banane ki fiker karenge ye niyyath ho tho Asrath bhi waise hi padenge.

Hum masjith ke pass pahunche tho sare sathi Dua karle ke hum jis erade se aye hai ussme kameyabi Athafarma Pahele Baye pyer se jutha ya chappal nikale phir Daye pyer se phire masjid me Daya pair rakkar Dua pade (Allah humma afthali Awwaba warahmathik,)
Phire makhami sathi ho puch le apna samaan kahaper rakhna hai.puch ke ekk side me rakhle.Saman per ekk Behathareen chadar koi sathi ke pass ho tho koi ekk apne saman per udadhe koi sathi ko koi cheez lena hotho leker chadar Dakde Sabhi Zarooriyath se fariq hoker wazu karke 2 rakaat nafill namaz pade masjid ki niyyat se.

Basti me Deen ka kam karna hai jab basti me jaye tho 3 kam ki fiker kare(1)  khud Eeman Sikhe phir apne is raki fiker kare.
(2) Basti se mukammal jamaat nikale.
(3) Masjid war jamaat Banaye agar masjid war jamaat Bani huyi ho usko mazbooth Banane ki fiker kare. Aur agar mazboot hai tho khud bi faida uttaneki koshish kare insha Allah ye sare cheeze rahenge tho hamari rawangi nikalna manzile maqsood tak pahunchna Insha Allah kameyab hoga.

Allah Tala se Dua hai Hamari rawangi ko Allah Tala qabool farmaye.(Ameen).

Please Select Embedded Mode To Show The Comment System.*

Previous Post Next Post